chalo ham farz kartay hain ussay ham se muhabat hay...

0 Comments

chalo ham farz kartay hain ussay ham se muhabat hay...

chalo ham farz kartay hain
usay ham se muhabbt hay

bht masroof rehta hay
kabhi din bhar k kaamoun main,
kabhi office ki kursi per,
kisi file main dooba sa,
kabhi phir dostoun k sang
kabhi ehbaab k hamra
kabhi sapnon main dooba sa,
kabhi sochon main khoya sa,

har ik aalam main us k sang
hamari yaad rehti hay
koi mehfil ya, tanhaai,
hamari yaad se abad rehti hay
chalo ham farz kartay hain
usay ham se muhabat hay

falak ki or dekhay to....
jo pora chand hota ho,
to uski nein jheeloun main,
hamara asks chupkay se utarta hay
kabhi jab surkh phoolon ko,
choo'ay wo be khayali main,
to usko aisa lagta hay
hamary hont hon jese
unhain phir choom laita hay
chalo ham farz kartay hain
usay ham se muhhabt hay

kabhi sahill pe jay to,
hamari yaad main khoya
wo meeloun meel chlata hay....
qadam jab gehray paani main
pohanch ker larkhara jain....
to foran uski ankhon main,
hamari naein jheeloun ka,
tasawurr raqs karta hay
koi bhi geet gaata hay,
ya kuch bhi gungunata hay,
hami ko yaad karta hay....

kabhi jab sard shaamoun main,
wo akser kap'kapata hay,
to apny sakhat shaanoun pe
sayyah ik shaal ko orhay,
wo jab cigrate jalata hay,
to hamko sochta hay bussss!!
chalo ham farz kartay hain,
usay ham se muhabat hay.....

magr iss farz karnay main,
hamain umrain bitaani hain...
haan uska raasta taktay
hamain ankahin ganwani hay.....
muhabat usko hoti to.......
bhala ham farz kioun kartay....?
usay ham se muhabat hay....

kanwal malik

Poem Comments

(0)

Please login or register

You must be logged in or register a new account in order to
leave comments/feedback and rate this poem.

Login or Register

Poetry is not the expression of personality but an escape from personality.

T. S. Eliot (1888-1965) American-English poet and playwright.