Ghazal

0 Comments

Tags:
  • Ghazal

    Ghazal

    Wo ye b keh gaya k chor do rasta mera takna
    Magar jatay huay “ see you “ bhi mujh ko keh gaya Logo!

    K ab to ashk ronay se lahoo ankhoun se behta hay
    K jo ankhoun main paani tha, wo sara beh gaya Logo!

    Faqat itni guzarish hay mujhay chand roz jenay do
    K Dil har har ghari ki mout bay hadd seh gaya Logo!

    Ussay jis din se khoya hay, sabhi kuch kho gaya jese
    K ab khonay ko baaqi or kuch na reh gaya Logo!

    Kisi nay teesri manzil se gir k Khud khushi kar li
    Bus ik aanchal hawa main leh’ lehaata reh gaya Logo!

    by Kanwal MAlik

    Poem Comments

    (0)

    Please login or register

    You must be logged in or register a new account in order to
    leave comments/feedback and rate this poem.

    Login or Register

    Poetry is not an expression of the party line. It's that time of night, lying in bed, thinking what you really think, making the private world public, that's what the poet does.

    Allen Ginsberg (1926-1997) U.S. poet.